Whatsapp Backup Kaise Banaye Puri Jaankari Hindi Me

Whatsapp Backup Kaise Banaye : Hello Friends aaj ki is post me ham aapko yah batane wale hai ki kis trah se aap apna whatsapp Backup apne gmail account ya google drive par bana sakte hai.
Yadi aap whats app ka upyog karte hai to aapke paas whats app par data jaroor hoga jisme image video chat bhi samil hai Or yadi aap chahte hai ki aapka data automatic hi save ho jaye to aap yah post ko read kare aapko is post se bhut knowledge milne wala hai.

whats app ka upyog Bhut kaam ke liye kiya jata hai or isme bhut sa data ensa bhi hota hai jo hamare bhut kaam ka hota hai or iski jaroorat padti rahti hai lekin yadi kabhi hmara phone format ho jaye ya data delete ho jaye to data wapas la pana na mumkin ho jata hai. lekin yadi aapke paas Backup hai to aapka kaam ban sakta hai.

Whatsapp Backup Kaise Banaye

Whats app data ka backup kyun banaye

  1. Yadi aap apna whats app ka data clear kar den ya whats app uninstall kar de aap apna data bina backup ke waps nahi la sakte to backup ki jaroorat aapke data ko wapas lane ke liye padti hai.
  2. Isse aapki Chat Surkshit rahengi.
  3. Yadi aap ek new phone le or aap apne whats app ko New phone me transfer karna chahte hai to aapke paas backup hona jaroori hai jiski sahayta se aap new phone me apna purana whats app install kar sakte hai.

Whats app Backup Data me kya kya hota hai

Yadi aap apne whatsapp Backup banate hai to aap usme Image, Video or whatsapp chat backup store kar sakte hai or yadi aap video ka backup nahi banaa chahte hai to aap keval chat or image ka backup bana sakte hai.

Whats App Backup bnane ke liye kya chahiye

whats app backup banane ke liye aapke paas gmail account hona jaroori hai or iski jaroorat whats app data ko store karne ke liye hoti hai.

Ham kitna Whats App Data ka Backup bana sakte hai

Dosto yadi aap Google Drive par Whats App Data ka Backup banate hai to aap 15 GB tak ka data Store kar sakte hai or us data ko google drive me store kar sakte hai or jab chahte us data ko restore kar sakte hai.

Whats App Data ka Backup kaise banaye

STEP :1

Whats App ke Data ka Backup Banane ke liye aapko Sabse pahle apne Whats App ko Open karna hai.

  1. Iske baad aap Right Side 3 Dot par click kare.
    Whatsapp Backup Kaise Banaye
  2. Ab aapko kuch option show honge aap yhan par Setting par click kare.
  3. Ab aap Chat par click karna hai. 
  4. Ab aap dekhnge ki aapko Chat Backup show hoga aap is par click Kare. 
  5. Ab aapko backup ka button show hoga aapko backup banana se pahle kuch setting karni hai. 

STEP :2

  1. Yadi aap Backup ko Google Drive par banana chahte hai to aapko Back up to Google Drive ka option show hoga apko is par click karna hai aapko yhan par kuch option show honge jisme aapko yah select karna hai ki aap backup kab banana chahte hai matlab yadi aap chahte hai ki data ka backup Daily Weekly ya Monthly bane to aap in par click kar sakte hai.
    1. yadi aap chahte hai ki jab aap backup button par click Kare to aap Only When I Tap backup par click kare isme yadi aap never ke alava koi dusra option select karte hai to aapko aapke mobile me log in huaa Gmail account show honge or yadi aapke mobile me koi bhi account login nahi hai to aap add account par click kar account add kar sakte hai aap yhan par jo bhi account select karenge us account par aapka Backup banega aap jo bhi sahi samjhe wah select Kare.

    2. Yadi aap Whats App Backup Gmail Account me banana chahte hai to Aap Account par click karen.
      1. ab aapko yhan par gmail account show hona jo aapke phone me login hai yadi aap in account me apna backup Data banana chahte hai to Account par click kare ya aap add account par click karn or gmail account log in kar sakte hai.

      2. Iske baad aapko Backup over ka option show hoga or isme aapko do option show honge ki aap backup kab banana chate hai iska matalb ki jab aap wifi se connect hoge ya wifi ya mobile data se to yadi aap apne phone se internet ka upyog karke backup banana chahte hai to aap wifi or celluar par click Kare nahi to aap wifi par click Kare. 
      3. Iske baad aapko include video ka option show hoga yadi aap apni whats app video ka backup bhi banana chahte hai to aap is par click kar sakte hai nahi to ise untick hi rahne de.
        Whatsapp Backup Kaise Banaye

      Yah sab setting karne ke baad aapko back up button par click karna hai Or iske baad aapko wait karna hai aapka backup jaldi ban jayega. 

      Whats App Backup ka upyog kaise kare

      Whatsapp Backup ka upyog karna chahte hai to aapko yah step follow karne honge-

      1. Jab aap whats app Install karenge or yadi aapka wah Gmail Account Open hai jis par aapne backup banaya tha to whatsapp Backup ko Automatic le lega or aapko Backup Found Screen par show hoga iske sath sath aapko Restore button bhi show hoga or aap is par click kar data restore kar sakte hai.
      2. Yadi whatsapp Backup tak na pahuch paye to aapko Backup Button Show hoga aap is par click karne ke baad apna wah gmail account select kare jis par aapne backup store kiya tha  yah karte hai aapka sara Whatsapp data restore ho jayega.

      Yadi ye post aapko sahi lagi to ise share kare ya aap comment par apna Question or view likh sakte hai. yadi aap hamse judhna chahte hai to aap subscribe kar sakte hai ya facebook page join kar sakte hai.

      About Anoop Bhatt

      मेरा नाम अनूप भट्ट है और मैं उत्तराखंड (India) से हूँ। इस ब्लॉग पर आपको Blogging, Internet, Website, Technology के आलावा भी अन्य उपयोगी ज्ञान हिंदी में दिया जाता है। अधिक जानने के लिए आप About Us देखे।

      1 thought on “Whatsapp Backup Kaise Banaye Puri Jaankari Hindi Me”

      Leave a Comment