Hard Disk Partition Kaise Kare : Hello Firends Aaj ki is post me ham aapko yah batane wale hai ki kis trah se aap apne computer me Hard Disk Partition kar ek New Drive bana sakte hai. jab bhi koi ek new computer leta hai to us computer me hard Disk partition sahi se nahi hota hai jisse aapko data manage karne me problum ho sakti hai.
computer sellar hard Disk me Drive apne hisab se bana leta hai lekin isse kai baar data rakhne me problum ho sakti hai. isliye aap apne anusar apne data ko manage kar sakte hai.
Hard Disk Partition क्या है
Hard Disk partition ka matalb hai hard disk ko Size ke hisab se part me bnana ex. Drive:c, Drive:D, Drive:E. aapko Yah to pata hoga ki computer me ek hard disk hoti hai jis par hamara sara data store hota hai yhan tak ki jis window ka upyog ham karte hai wah window bhi hard disk me hi store hoti hai.
Yadi Hard Disk alg alg drive me Nhi bata jaye to isse aapki Window or aapka Data ek hi Drive me rahega jo computer ki process or computer ki window ke liye sahi nahi hai or hard disk ka size jyada hota hai or yadi hame computer data ko manage karna hai to hame alg alg Drive ki jaroorat padti hai.
Hard Disk Partition क्यों करें
Dosto yadi aap apne computer me hard disk partition nahi karte hai to aapka data or window ek hi drive me store hogi jisse yah hoga ki aapka computer slow word karega.
Jab aap ek new window install karenge do aapko us drive ko formet karne ki jaroorat hoti hai jis par window hoti hai lekin yadi us drive me aapka data hai to aapke paas do option bachte hai ya to aap window change na kare or yadi karenge to aapko apna data formet karna hoga.
Yadi aapke computer me Drive jyada hai ya kam hai to aapke computer ko processing karne me problum ho sakti hai kyunki computer me jyada se jyada 4 drive hi sahi hoti hai or yadi aapke computer me ensa nahi hai to fir aapko data mange karne me or computer ko procces karne me problum ho sakti hai.
Hard Dsik ka Size jyada hota hai or yadi aap Hard Disk Partition nahi karte hai or ek hi drive par data store karte hai to aapko data search karne me problum hogi aapko data jaldi nahi mil payega.
Hard Disk Partition Kaise Kare
STEP 1-
- Sabse phale aap My Computer/this Pc par right click kare. Iske baad aapko kuch Option Show honge aapko yhan par manage par click karna hai.
STEP 2-
- Ab aapka Computer Management System Open hoga aapko yhan par disk Management Par click karna hai.
- Iske baad aapko computer ki All Disk Drive Show hongi. yhan par aap Jis bhi Drive ka size kam kar Nyi Drive banana chahte hai us par right click karna hai.
- Ab aapko yha par Shrink Volume Show hoga. aapko is par click karna hai.
STEP 3-
- Ab aapko yhan par Enter the amount of space to shrink in Mb par apni nayi Disk Drive ke liye Size set karna hai. size kaise rakhna hai yahm ham aapko bata rahe hai maan lijiye aapko 100 GB ki nai Drive banani hai or 1024 MB=1GB hota hai isliye aap 100*1024 karenge or iska jo maan aaye wah aapko fill karna hai. isse aapki jo nai drive banegi uska size 100GB ho jayega.
- Iske baad aap Shrink Button press kare.
STEP 4-
- Iske baad nai Drive banene me thoda time lag sakta hai or jab yah process puri ho jayegi to aapko is trah se ek black drive show hogi.
- Aapko Black Drive par right click karna hai. or aapko yhan par new simple volume show hoga aap is par click kare.
STEP 5-
- Iske baad Aapko ek pop up box show hoga yha par aap next button par click kare.
- Iske baad aapko disk ka size show hoga aapko next par click karna hai.
STEP 6-
- Iske baad yadi aap apni drive ko koi latter dena hoga ex. jaise drive c, d hoti hai isi trah se nai drive ko name de.
- Iske baad next Button par click kar den.
STEP 7-
- Ab aapko yhan par apni new drive ko formet karna hai. or yadi aap is drive ko formet nahi karna chahte hai to aap Do Not format this volume par click kare, lekin new drive ko format karna sahi hai isse aapko Drive ka pura Size milega jo aapne diya tha.
- Iske baad Next button click kar den.
Iske baad aapko Finish Button par click karna hai. Ab aapki new drive format ho jayegi or aapki ek New Drive ban jayegi or iska size wahi hoga jo aapne diya tha. isi trah se yadi aap Hard Disk Partition karna chahte hai to kar sakte hai bas aapko yah dhyan rakhna hai ki aapke liye jyada se jyada 4 drive tak sahi hai.
यह भी पढ़े –
- Slow Computer Speed ko Fast kaise kare
- Computer Virus kya hota hai ise kaise pahchane or Delete kare
- JPG Image ko PDF me convert kaise kare
- Corrupted Pen Drive ya SD Card ko repair kaise kare
Hard Disk Partition करते समय ध्यान रखने वाली बातें –
- Jab bhi aap ek new drive banate hai to aapko yah dhyan dena hoga ki aap jis drive ke size ko kam kar new drive banana chahte hai us drive me utna space free hona chahiye jitne ki aap new drive banana chahte hai iske baad hi aapki new drive ban payegi.
- Jab bhi aap new drive banate hai to use format karna jaroori hai kyunki yadi aap bina format ke new drive ka upyog karte hai to aapko total space nahi mil payega.
- Aap drive par click karne se pahle sahi se dikhe ki kya aapne sahi drive par click kiya hai ya nahi.
- Upar bataye gaye prcess ko pura karne ke baad hi aap Hard Disk Partition kar ek new drive bana sakte ho isliye aapko yah step sahi se follow karne hai.