Internet par aapko news ke liye hajaro website mil jayengi lekin Daily Hunt ka Android App Bhut hi kaam ka hai or iska upyog bhut log apne Android phone me karte hai. Waise to news ke bhut se app google play store me honge lekin aapko un app se jyada acha dailyhunt lagega.
dailyhunt ki baat Kare to isme koi fake news nahi hoti hai kyunki Yhan keval wahi apni Post publish kar sakta hai jiske paas blog website ya youtube channel ho or Daily hunt inhe check karne ke baad hi Account verify karta hai. Bade Bade news channel, news paper bhi is par apni post publish karte hai. Isliye aapko kahi jane ki jaoorat bhi nahi padegi.
Dosto yadi aapke paas apni website ya Youtube Channel hai or ap apni website ya Youtube channel ki Post ya video chahe wah kisi bhi topic ki ho ko apne blog ya channle par publish karte hai or aap daily apni website par kaam karte hai to aap daily hunt me aasani se parmission lekar Post ya video ko publish kar sakte hai or Dailyhunt par yadi koi user aapki website par aana chahte to aa sakta hai. jise aap daily hunt or Blog website par bhi money earn kar sakte hai.
DailyHunt ke bare me-
Daily Hunt me Post publish kyun kare
Aapne internet par bhut se news app dekhe hoge Ex. uc news or aapko yadi uc news par apni post publish karni hoti thi to aapko uc publisher par apna account banakar news publish kar sakte hai lekin daily hunt ki baat kare to isme is trah se kuch nahi yadi aap daily hunt ki website open kare to aapko inki website par kuch is trah ka koi option nahi milega jisse aap apna account banakar news publish kar sake. Lekin kis trah se aap daily hunt se jud sakte hai is post me aapko bataya ja rah hai,
Daily hunt me account kaise banaye
Dosto yadi aap daily hunt me account banana chahte hai to aapko daily hunt ke email address par massage karna hoga. Daily Hunt me post publish karne ka yah ek matr tarika hai or iski wajh yah bhi hai ki daily hunt fake news website or channel ko post publish karne ki permission nahi deta hai. Yadi aap apni website ya Youtube channle ko Daily hunt me Submit kar rahe hai to aapko yah bhi dhyan rakhna hoga ki aapke blog ya Youtube channel me Post honi chahhiye jisse daily hunt verify de sake. massage kaise karna hai or kis email par karna hai yah ham aapko batane wale hai.
Yadi aap daily hunt ki website ko open kare to aapko website par email address milega jo yah hai [email protected] or aap website se bhi confirm kar sakte hai.
Iske baad aapko apne gmail account se ek massage type karna hai jisme aapko yah sab likhna hai –
Dear sir
I am Blogger and youtuber. I want to publish my article on dailyhunt so i want to know how i can publish my contant on dailyhunt.
Blog/website/ Youtube channle Address-
Name-
Contact Number :
Upar bataye gaye massage ko type karne ke baad aapko apni jaankari bhi likhni hogi or aapko daily hunt ki email address par send karna hai.
Iske baad daily hunt team review karne ke baad aapse contact karegi isme kam se kam 1 din se lekar 4 din ka samy lag sakta hai.
Daily Hunt Post publish kaise karta hai
Ab aapko yah to pata chal gya hoga ki dailyhunt me post video publish kaise kare or Yadi aapka account verify ho jata hai or jab bhi aap apne blog website ya Youtube par post video publish karte hai to dailyhunt rss feed ki sahyata se post ko apne news app par publish kar leta hai. isse aapko fayda bhi hoga or daily hunt me post likhni bhi nahi padegi.
Achchha ye batao ki
Jaise mere paas blogger platform par website hai
Kya daily hunt wale blogger website ko daily hunt me allowed karte hain ya nahi
Yes blogger platform par bhi allowed hai
Per 1000 views ka kitna pay krti hai daily hunt.
Sir aapne bahut acchi jaankari di jo ab tk shyad kisi blog par nahi hai aisi hi post karte rahe
Thanx keep visiting
Bro aapko dailyhunt ki or se mail milta hai
Sir apki jaankari bahut hi achi thi
Sir ye them AAP ne buy ki yaa kharidi thi Kahi se..
Very useful post
nice sir
सर मै यह जानना चाहता हु की ब्लॉग पर जब पोस्ट लिखते है तो उस पोस्ट में पहले की पोस्ट का लिंक कैसे लगाते है जिससे कोई भी पढ़ने बाला व्यक्ति एक पोस्ट से दूसरी पोस्ट पR आ सके
Please help me
आप यदि ब्लॉगर या वर्डप्रेस पर है तो आपको टॉप में पोस्ट लिखने का जो टूलबार मिलता है तो उसमे आपको लिंक जोड़ने का आप्शन भी मिलता है, आप उस पर क्लिक करेंगे तो फिर आप अपनी दूसरी पोस्ट की लिंक ऐड कर सकते है
Sir mera ek blog hai wordpress par jo abhi naya hai maine use google search console , google analytics, bing Or yahoo me submit kar diya hu to jo code mujhe mila tha wo maine theme ke header me paste kardiya hu.
Mera question ye hai ki ab mai koyi or theme use karna chahta hu to kya mujhe wo sabhi code phirse naye theme ke header me paste karna padega ya wo apne aap hojayega.
Agar apne aap nahi hoga to kya mai jitni baar theme change karunga utni baar ye process repeat karna padega sir please reply dena jarur.
aap wordpress par Head, Footer and Post Injections yah ek plugin hai isme jo bhi code ho use rakhoge to aapko theme change karne par koi problum nahi hogi
मैं अपने बेवसाइट को डेलीहंट से जोड़ना चाहता हूं मेल भी किया है। अब तक जबाव नहीं आया है।
उनका जवाब आने में 2 से 1 हफ्ते का भी समय लग सकता है
मेरे डैश बोर्ड पर 40 व्यू दिखा रहा जबकि वीडियो पर 12000 कौन सा व्यू असली है 40 वाला या 12000 वाला डेली हंट पर
और पेमेंट किस व्यू पर जनरेट होगी जिस पर आंख बनी है या जिस पर उंगली
Daily Hunt me posted kiye lekin kuch message nhi aaya ab kya kare
wait kijiye isme time lagega
नमस्कार मेरा एक website news portal है क्या मैं dailynewshunt की न्युज अपने website news portal पर डाल सकता हूं क्या कृपया जवाब दे
धन्यवाद
आप यदि किसी न्यूज़ को डालना चाहते है तो उसे कॉपी पेस्ट न करे बल्कि जो भी न्यूज़ है उसे अपने हिसाब से लिखकर डाल सकते है